jZeyk6p9YAcKfHg20Es9NHbiXklrSJVMRTzr+TBEU9PmZZ9JjmLsYw== Anjeer k Faida in Urdu Benefits Of Fig! Healthgoldlife ~ Health is Gold Life

Free Health tips in urdu Health living tips in urdu Video tutorials in urdu pain medication Islamic Eduction Aqwaal in urdu Fruits benefits urdu

Tuesday 19 July 2016

Anjeer k Faida in Urdu Benefits Of Fig! Healthgoldlife

Taza injeer khushk ke moqaable mein ziadah mufeed hai.
Taseer mein thora sa garam aur tarawat wala hota hai. Khushk key moqable mein tazah injeer zaidah faidah punchata hai. Injeer mein 80% pani hota hai jabkeh baqyah hissah chemical lehaz se nihayat ahum aur sehat afza par mushtamil hai. Injeer mein osat 17.1 % tak sugar hoti hai. Injeer ka shumar lazeez aur sheerein phalon mein kia jata hai aur bator mewah aur dawa istemaal hota hai. Injeer ki sugar ki khoobi yeh hai keh yeh jism mein jate hi aasani se jazb ho jati hai. Jabkeh aam sugar mein yeh khasoosyat kam hoti hai. Yahi wajah hai keh injeer ko fori tawanayi ki farahmi ka ahum zariyah kheyal kia jata hai.
Anjeer Bawaseer key liye faidaah mand hai chun keh is mein citrus acid, Acidic acid aur milk acid ki bhi moqdar mojood hoti hai is liye hazmah mein mufeed sabit hoti hai.
Injeer mein khoon paida karne ki salahiyat bhi mojood hai isi liye ise mold khoon bhi kaha jata hai. is mein 12 % folad aur qabil qadar moqdar mein vitamin B hote hain aur yeh donon ajza khoon ki paidaish mein ahum kirdar ada karte hain. Yahi wajah hai keh injeer key istemaal se chehre aur jild nikharti hai aur jild aur chehre par mojood daagh dhabbon ka khatmah hota hai.
Gale ki kharash aur kushk khansi door karta hai. Balgham kam karta hai lehaza dammah mein bhi mufeed hai.

Injeer mein sugar key elawah lahmiyat 1.3 % jabkeh chiknayi baraye naam hoti hai. Is key elawah calcium 0.006% aur phosphorus 0.003% taak milta hai lehaza is phal mein sugar lehmiyat aur chiknayi jaise ahum ghizayi ajza jab keh vitamin, calcium aur phosphorus jaise madani ajza ki mojoodgi ise qawi tar bana deti hai. yahi wajah hai keh injeer jism ko farbah karta hai aur is key kuch arsa tak mosalsal istemaal se wazan barhta hai no umri mein agar bachon ko khasoosan mosam sarma mein injeer khelayi jaye to in ki bakhoobi nasho numa hoti hai aur bache ka rung bhi saaf ho jata hai.

jigar ki islah karne mein bhi is phal ko khasoosi ahmiyat hasil hai.liver cirrhosis mein jab jigar tezi se sukarta chala jaraha ho ya is mein reshah dar sakhtein banna shuru ho gayi hon to kuch arsah nehar munh injeer khane se is marz se nijat mil jati hai.

Injeer mein mojood namyati tarshe (milk acid, citrus aur acitic acid) jaraseem se pak hone key sath sath anti bacterial khasoosyat key bhi hamil hain. Yahi wajah hai keh jildi amraz mein injeer ka istemaal behtar kheyal kia jata hai. Phore phunsiyon mein injeer aur is ka sharbat faidah mand rehta hai. chechak aur moti charah mein injeer, mawez, munaqqa aur kalan ka joshandha pilane se dane aasani se nikal aate hain. Kasal mandi rafa ho jati hai aur marz ka hamlah toot jata hai.

Is key elawah yeh hepatitis B se bacao key liye faidah mand hai. munaqqa injeer aur shehad ka murakkab aik behtareen taqatwar tonic hai. jo insani jism key aasabi nizam key elawa mede jiar, aanton aur gurdon ko behtareen dafayi nizam farahum karta hai.

Injeeer ki infaradiyat yeh hai keh is mein resha nahi hota. Taweel thaka dene wali bimari key baad sehat o energy ki bahali key liye injeer ka istemaal intehayi mufeed aur kar aamad kheyal kia jata hi kiun keh reshah na hone ki bina par yeh fori tawanayi ka zariyah banta hai jis se mede aur aanton par kisi qisam ka koi bojh nahi par ta aur na hi tabyat mein koi garanni mehsoos hoti hai.

Akhraj balgham key liye khansi mein is ka jo shandah buhat mufeed hai.

Pasinah awar hone ki wajah se ise chechak mein bhi istemaal karte hain.
Fig cultivation Iran, Afghanistan, Italy and is going in the other countries of the world. Fruit on the fig tree comes twice a year. There are two types of figs. Fig effectiveness is slightly warm. Fresh figs are more beneficial than dried figs. 80% water and 17% is sugar in fig. Figs are sweet and delicious fruit and it is used as a fruit and medicine. The beauty of figs, sugar is absorbed in the body soon. The beauty of figs is sugar absorbed in the body soon. While this quality is low in sugar. That is reason that fig is the main source of supply Immediate Effectiveness.

Fig is beneficial for hemorrhoids. Since the citrus acid, Acidic acid and milk acid is present, it is useful to digestion.
Fig has also the ability to create blood. 12% iron and vitamin B present in fig and both plays an important role in creating the blood. That is why the use of fig, skin and face shines and clean the skin and face.

1.3 % protein present in fig and fat is very low. In fig calcium 0.006% and phosphorus 0.003% present. In this fruit sugar, protein and fat are important contain while Mineral components such as vitamin, calcium and phosphorus are present. These are making power full of it. That is why fig makes body fatty. To use of fig continually increase body weight. Especially In winter season children fed to their development is well. Children will fair colour.

Moreover, it is beneficial to prevent hepatitis B. Raisins, fig and honey mixture is powerful tonic. The human body's nervous system, gastrointestinal, liver, intestines and kidneys offers the best resistance system.
This is beneficial in kidney and bladder stones. Fig uniqueness is that no fiber in it. After disease restore the energy fig use is very Effectiveness.
Figs are easy to digest. For some people, a meal is difficult to digest, do not feel hungry. In such case after meal eat 3 dried figs then the next meal you will feel hungry.
The health benefits of figs or anjeer include treatment of sexual weakness, indigestion, piles, diabetes, cough, bronchitis, constipation and asthma.

Figs have high iron and folate content. This is highly beneficial for iron deficient anemic individuals, along with heavily menstruating, pregnant and lactating women.

Fig contain health benefiting soluble dietary fiber, minerals, vitamins, and pigment anti-oxidants that contribute immensely for optimum health and wellness.

It also helps in gaining weight after illness. Sore throat and cough away and Mucus decreases.

You can find here anjeer, anjeer ke faide, anjeer ke fawaid in Urdu, fig in









Location: Faisalabad 38000, Pakistan

  1 comment:

Translate

Facebook Page

Search This Blog

Kategori

Kategori

Powered by Blogger.

Recent Comments

Total Pageviews